Happy New Year Wishes to use for this year.new premium wishing script.
![]() |
Happy New Year Wishes to use for this year. |
Hum sab ko pata he ki New Year ane waala hai or hum bloggers ko naye messages or
photos chahiye wishes ke liye. To aaj me aapko thode sai messages dungi jo ke aap use kar sakte ho.
End me mein aapko thode links dungi jisme se aa unke HTML code copy kar sakte ho or
apne blog par laga sakte ho after a few changes. (English messages he yeh aap edit karke hindi me bhi daal sakte ho)
Lekin iss blog me mein aapse baat karungi kese hum naye tarike se apne blog pe wishes likh sakte hain. Jesse ke mujhe HTML code nahi aata he. Iss liye main normal likh ke post dalti hu jo bahut simple he.
1. Aap apna message likh le
2. Phir jo photo chahiye wo aap use karle or uske baad aap
3. Usko publish kar sakte he or copy paste bhi kar sakte ho
Niche mene aapke liye thode messages likhe hain jo aap use kar sakte hain New years wish karne ke liye.
1. Employees ke liye
a) Shukriya itna support karne ke liye 2020 ke year mein. Hum aapke saath phir kaam karenge 2021 mai.
b) Happy New Year!! Hum aapko aapke support ka shukriya karna chahenge humari puri management team ki taraf se.
c) Shukriya humari excellent team ka part hone ke liye. Aapko naye saal ki Shubkamna!!
d) Humaare pass bahot hi exciting plans he 2021 ke liye or aapko sunn ke bahut hi
achhaa lage ga, Hum bahut hi khush hain ke ap humare saath he iss naye saal ke
liye.
2. Clients ke liye
a) Thank you hamare business ko support karne liye 2020 mein. Aapke saath kaam
karne ki liye bahut hi uksut hain hum 2021 ke liye.
b) Thanks for an amazing 2020! Wishing you all the very-very best we head into a new year.
c) yeh saal bahut tension bhara nikla hain.or Hum aapke shukar guzar hain or nayi saal mein aapke saath kaam karne ke liye bahut hi uksut hain.
d) ham apko new year 2021 kai liye wish karte hai. Yeh saal khushi bhara nikle.
New years pe hum sabko naye resolutions or goals banane chahiye, ek naye saal ki shuruwaat nayi tarike se karni chahiye.
Naye saal ke goals kya ho sakte he?
1. Kyu ki hamara 2020 saal itna kharab nikla he aap life ko puri tarah enjoy karne ka goal bana sakte ho.
2. Aap kissi chiz ko haath se nahi jaane Doge jese kia aap har opportunity loge life mein.
3. Esa goal jo aap ko ek nahi shuruwaat de, chahe wo kisi bhi chiz mein ho.